Emotional Trauma Ka Rohani Ilaj  

Nazreen Aaj K Es Article Mein Aap Ko Emotional Trauma Ka Rohani Ilaj Bataya Jaye Ga.Emotional Trauma Se Murad Kisi Bhe Person Ko Mentally Aur Emotionally Tor Par Gehra Dukh Punchna Hai.  Is Condition Mein Aik Person Ko Gahra Dukh, Anxiety Ya Stress  Mehsoos Hota Hai, Jiska Asar Uske Damaagh Aur Physical Health Par Hota Hai. Iski Asal Waja Bhut Se Ho Sakti Hain.  Jaisay K Personal Ups And Downs , Realities Ya Individual  Ki Zindagi Mein Hone Wale Events Hain . Hum Aap Ko Emotional Trauma Ki Wajuhaat Detail Se Bataty Hain Taa K Reason Ko Jaan Kar Insaan Emotional Trauma Se Apni Hifazat Bhe Kar Sake Aur Khud Ko Heal Bhe Kar Sake. 

Emotional Trauma Ki Wajuhaat (Reasons)  

Nazreen Ab Hum Apko Emotional Trauma  Ki Wajuhaat Batayengay K Emotional Trauma Ki Kiya Kiya Wajen Ho Sakti Hain 
Events : Zindagi Mein Honay Walay Important Ya Terrifying (Bhayank)Hadse Ya Woh Lamhe Hain Jo Individual / Person Ki Zindagi Mein Bada Asar Chorte Hain, Jaise Kisi K Intiqal Ka Dukh, Ya Ap Ka Sath Kisi Buray Hadsay Se  Samna Karna. 
Tafreehi Asarat:Tafreehi Asarat Individual/ Person Ke Zehan Par Chupe Hue Hote Hain, Jese Ke Film Dekhne Se Ya Kahaniyan Sunne Se Aapke Zehan Mein Kuch Asarat Padte Hain. Ye Asarat Psychological Aur Emotionally Tor Par Individual  Par Asar Dalte Hain.Zindagi Mein Honay Walay Important Ya Bhayanak Hadse Jese Aapki Zindagi Mein Kuch Bura Ho Jana . Ye Sab Emotional Trauma Ka Sabab Bantay Hain .
Individual Ups And Downs : Is Mein Kisi Bhi Individual  Ki Zindagi Mein Aaye Changes Ya Difficulties Aur Challenges Shamil Hain . Is Mein Individual/ Person Ki Zindagi Mein Aaye Sukh-Dukh, Problems, Aur Stressful Situations Ki Evaluation ( Tashkhees) Hoti Hai.Is K Ilawa Maali Parishani Ya Berozgaari , Society Pressure Ya Social Stress, Professional Stress Ya Work Se Related Stress Jaisay Ka Samna Jo K Emotional Trauma Ka Sabab Ban Saktay Hain.
Social Opposition Ya Societal Resistance Aur Be-Insafi:Society Mein Inequality, Individual/ Person  Ko Nuksan Pahunchane Wala  Behavior.Be-Insafi, Jaise Ki Religious Ya Spiritual, Jinsi, Ya Group Se Judi Hui Problems Ye Sb Trauma Ki Wajuhaat Mein Shamil Hain .
Realities Aur Asliyat Se Mukabala: Khofnaak  Asliyat Se Mukabala Karna Jo  Person Ko Straightforward Kar Deti Hai. Realities Jo Individual / Person Ko Dukhi Ya Khofzadah  Karti Hain Emotional Trauma Ka Sabab Ban Saktay Hain.
 Physical Ya Sexual Assault ( Attack) :
Agar Individual Ne Maazi Mein Physical Ya Sexual Assault Ka Samna Kiya Ha To Ye B Emotional Trauma Ki Bht Badi Waja Ho Sakti Ha .
Bachpan Mein Abuse Ya Neglect : 
Agar Kisi Person Ko Bachpan Mein Abuse Ya Neglect Kiya Giya Ho To Wo Bhe Emotional Trauma Ka Sabab Ban Sakta Ha.In Wajuhat Se Judi Problems Individual / Person K Zehan-O-Dil Par Gehra Asar Dal Sakti Hain Aur Isko Emotional Trauma Ya Severe Emotional Trauma Ke Roop Mein  Person Mehsoos Kar Sakta Hai.

Emotional Trauma Ki Alamat  

Nazreen Ab Hum Apko Emotional Trauma Ki Alamat Se Agah Karengay K Emotional Trauma Se Affected Individuals Mein Kiya Kiya Symptoms  Zahir Ho Sakte Hain. 
Zehan-O-Dil Mein Dard:Person Apne  Mind  Aur Dil Mein Gehra Dukh Ya Dard Mehsoos Karta Hai, Jo Ki Bhayank   Events  Ya Trauma Ke Asar Ka Natija Ho Sakta Hai.
Anxiety  Ya Ghabrahat:
Aik Person  Stress , Anxiety Ya Ghabrahat Mehsoos Karta Hai Jab Uss Ki Mental State Par Asar Parhta Hai. 
Insomnia ( Mushkil ):Neend Mein Mushkilat Ya Bechaini
Ka Samna Karna, Jo K  Person Ke Mental Health Ko Influence  Kar Sakta Hai.
Mental Fatigue: Ziada Thakawat, Bechaini Ya Stress  Mehsoos Hona, Jo Individual  Ki Mental Aur Physical Health Per Asar Daal Sakta Hai.
Feeling Irritate: Person Har Waqt Irritate Rehta Hai . Udaasi Aur Tension Mehsoos Karta Hai. Es Behaviour Se Person Ki Life Buri Tarah Mutasir Hoti Hai. 
Dilchaspi Mein Kami: Asay Log Events , Regular Activities Mein Interest Nahi Lete Aur Khud Ko Esay Environment Se Alag Rakhtay Hain Aur Tanga Rehna Chahty Hain. 
Problem In Understanding: Baaton Ko Samajhne Mein Aur Cheezo Ko Memorise Karne Mein Mushkil   Mehsoos Karte Hain   Jiski Waja Mental Condition Air Turamatic Experiences Hote Hain. 
Feeling Lonely :Tanhai  Ka Ehsaas Ya Stress ( Tention )Se Dochar Mehsoos Hona, Jo  Person Ki Social  Aur Mental State  Ko Influence Kar Sakta Hai.
Physical Problems: Physical Problems Jaisay K Dard, Sar Dard, Ya Badan Mein Takleef Mehsoos Karna, Jo Mental  Trauma Ke Outcome Ki Waja Se Dekhae Deti Hai. 
Bharosa Uthna: Logon Par Bharosa Karna Mein Mushkil Hona, Jis Ki Waja Se Individual/ Person Apne Aas-Paas Ke Logon Se Doori Bana Leta Hai.

Events Se Door Bhagna: Events Se Door Bhagna Ya Usse Bachne Ki Koshish Karna, Jo Individual / Perosn K Conduc ( Behaviour ) Mein Transformation ( Change ) La Sakta Hai.Ye Alamaat Individual / Person Ke Zindagi K  Experiments Aur Situations Par Depend Karti Hain. Agar Aap Ya Koi Aur In Alamat Ka Samna Kar Raha Hai You Es Condition Se Overcome Karna Bay Hadh Zaroori Hain. 

Emotional Trauma Ka Rohani Ilaj

Nazreen Ab Hum Aap Ko Emotional Trauma Ka Rohani Ilaj Bataty Hain. Nazreen  Emotional Trauma Ka Rohani Ilaj Aksar Individual Ke Apne Nazariye Aur Zehniyat Par Depend Karta Hai. Yeh Har  Person Ke Liye Alag Hota Hai Aur Kisi Bhi Rohani Ilaj Ka Asar  Person Ki Currently Condition Par Depend Karta Hai.  Agar Aap Emotional Trauma Se Nijat Chahty Hain. Tu Sab Se Phly Aap Kisi Bhe Din Isha Ki Namaz K Baad 2 Rakat Namaz Salat Ul Hajat Ada Karen. Uss K Baad Aap 100 Bar Ayat Kareema Aur Aik Bar Surah Rehman Ki Tilawat Karen . Tilawat Karne K Baad Aap Aik Glass Paani Par Dam Kar Lein Aur Paani Pee Lein. Ye Amal Aap Ne Esi Tarah Se 14 Din Tak Jari Rakhna Hai. In Shaaa Allah Es Amal Ki Barkat Se Aur Allah K Karam Se Aap Ko Emotional Trauma Se Nijat Mil Jaye Gi. 

Naqsh Ism E Azam For Emotional Trauma Healing

Es K Sath Aap Naqsh Ism E Azam Ko Bhe Apne Pas Lazmi Rakhen .Naqsh Ism E Azam Rohani Ilaj Mein Khaas Ehmiyat K Hamal Hai Aur Mental Illness Se Related Tamam Issues Mein Healing Mein Istemal Hone Wala Mujarrab Naqsh Hai. Es Naqsh Ki Barkat Se Insaan Ki Emotional Immunity Bhe Increase Hoti Hai , Insaan Emotionally Tor Par Strong Hota Hai , Insaan Ki Thinking Clear Hoti Hai Aur Insaan Zindagi K Tamam Mamlat Ko Khush Asloobi K Sath Manage  Karne K Qabil Ho Jata Hai. Lehaza Naqsh Ism E Azam Ko Emotional Trauma Se Nijat K Liye Lazmi Apne Pas Rakhen. Es K Ilawa Agar Aap Emotional Trauma Healing K Liye Councelling Session Lena Chahty Hain Ya Aap Through Hypnosis Apni Tamam Parshaniyon Se Nijat Chahty Hain. Tu Aap Dr Abeera Noor Se Whatsapp Par Rabta Kar Sakte Hain. 
For More Info About Rohani Ilaj Online 03033052727
WeCreativez WhatsApp Support
Our customer support team is here to answer your questions. Ask us anything!
👋 Hi, how can I help?