Is post mein hum aap ko shaitani asrat se nijaat hasil karne k liye iska rohani ilaj wazahat k sath bayan karen gaye . Mazeed is baat se bhi aap ko aagahi karen gay ke ye asrat e bad akhir kyon insan par hail hote hain aur aisi konsi wajoohat hain jin se avoid kar k hum asrat se nijaat hasil kar sakte hain ?

Shaitani Asrat Kyon Hote Hain

Kabhi aap tawaja karen aur apne bhare bazurgon se pooche ya tahkeek karen k ye bure asrat hona pahle daur mein bhi huva karta tha ? To aap ko yahi jawab mile ga k inko pta bhi nahi hota tha k asrat e bad ya kasar hona kisko kahte hain .
Yeh masail guzashta 2 dahai mein zyada dakhne ko mil rahe hain . Aur in asrat ki wajah se mutasira afrad ki tadad bhot tezi se barhti jaa rahi hai . Hamaray tajarbaat aur mushahdat mein yeh baat aai hai k asrat se zayada tar kam umar larkiyan jaldi mutasir ho jati hain . Is se pas-e-parda to muharikaat bhot zyada hain jin mein se chand aik ka hum ilmi buyad par tazkara karen gay aur asrat ka rohani ilaj bhi aap ko wazahat k sath bayan karen gay .

Shaitani Asrat Ka Rohani Ilaj

Shaitani asrat ka rohani ilaj aap ne mandarja zail tarteeb ko follow karte hue hi karna hai :
1 Shaitani asrat ka rohani ilaj aap ne 2 rakat salatul hajat nafl aur hasbe taufiq sadaqah se hi shuru karna hai
2 Is amal k doran chaiye k apni anduri aur beruni safai ka khaas khayal rakha jaye . Aap ka jism, libas aur jaga khaas tor par saaf aur pakeeza hone chahiye .
3 Nafal ada karte hue pahli rakat mein aap ne 32 martaba surah al-ikhlas ka izafa karna hai aur dusri rakat mein surah kosar ki talawat dill se kar leni hai .
4 In nawafil ko mukammal tawaja aur muhabat se ada karne k baad aap ne hasbe taufiq sadaqah lazmi ada karna hai . Sadaqah karna is liye zaroori hai kyon ke sadaqah har tarha ki aafat aur bala ko talta hai sath hi sath aap k wajood aur apki rooh ko sukoon deta hai . Isliye aap ne kam ya zyada ki shart par sadaqah lazmi ada karna hai
5Nafal aur sadaqah ada karne k baad aap ne namaz e fajr se namaz chasht k darmiyan tanhai ka khaas ehtamam kar lena hai . Aap ne waqt aur jaga ka intekhab aisa karna hai jahan pe koi bhi fard danista ya gair danista tor par aap ko disturb na kar sake
6 Is k bad aap ne janamaz par alti palti ki halat mein beth jana hai aur 11 martaba drood ibrahimi ki tilawat kar k apni shahadat ki ungli par phoonk maar lena hai aur shahadat ki ungli apne ird-gird ghooma kar aik farzi hisar laga lena hai .
7 Jab aap ka hisar mukammal ho jaye to aap ne apne wajood aur dill ki dharkan ko relax kar k shahadat ki ungli ko dill ki dharkan wale makam par rakh lena hai aur Ism Allah ko tasawar kar lena hai .
8 Jb aap Ism Allah ko tasawar kar len us waqt aap ne 31 martaba dua Nad e Ali sageer, 31 martaba surah al-ikhlas aur 31 martaba surah kosar ki tilawat dill se kar k pani par dam kar lena hai . Dam kiya hua pani aap ne qibla rukh ho kar nahar muh istemal karna hai aur har baar talab hone par bhi aap ne yahi pani qibla rukh ho kar pena hai .
9 Yeh amal aap ne waqt ki tarteeb k mutabik 21 roz tak lazmi jari rakhna hai . Allah Tala k fazlo karam se aap ko shifa zaroor mile gi In Sha Allah .
Is amal ko karte hue aap ki tawaja aur concentration ka mazboot hona bhot hi zaroori hai . Aap ki tawaja pal bhar k liye bhi Ism Allah se aur apne maqsad se pal bhar k liye bhi ghafil nahi honi chahiye .
Agar aap batai hoi tarteeb k mutabik amal kar lete hain to beshak aap khud hi asrat ka rohani ilaj karne mein kamyab ho jaye gay . Laikin aik baat aap ko zehan nasheen karwate chalen k asrat k mamlay mein aksar hi mareez limit ko cross kar chuke hote hain . Jahan mareez ka khud ilaj karna na guzeer ho jata hai . Is cheez ki bunyadi waja ahle ilam ye bayan farmate hain k asrat bad insan ki will power aur iman ko muntashir kar dete hain . To jis shakhs ka iman hi khatam ho jaye to wo khud k liye kaise koshish kar sakta hai ? Agar aap ka bhi yahi masla hai to iska wahid hal naqsh Nad e Ali hi rah jata hai .

Naqsh Nad e Ali Se Asrat Ka Ilaj

 Ahle ilam yeh bayan karte hain k aise mareez jinka mamla out limit condition ikhtiyar kar chuka hai yani k un k upar asrat bhot zayada hawi ho chuke hon to un k liye naqsh nad e ali hi behtreen, purasar aur aasan tareen rohani amal hai . Kyon k naqsh nad e ali insan ki andruni aur beruni hifazat karta hai jiski badolat insan ki will power, iman, concentration aur yaksui ka amal mazboot hota hai . Yahi waja hai k jo log naqsh nad e ali ki madad se apna rohani ilaj karte ya karwate hain in mein kamyabi ki sharah zyada hoti hai . Agar aap ko asrat ka rohani ilaj karne k liye naqsh nad e ali darkar hai ya aap khud se is naqsh mubarak ko tahreer nahi kar sakte to aap syeda k number pe whats app message kar k naqsh nad e ali bassani hasil kar sakte hain .

Asrat Hone Ki Wajoohat

Post k is hisa hum mein aap ko wo sab wajoohat bayan karen gay jinki waja se insan asrat ka shikar ho jata hai :
1 Asrat e bad hone ki bhot si wajoohat ho sakti hain jinki ibtida nazar e bad, hasad aur complex hota hai .
2 Is mamlay mein dusra sabse bhara fact bad-perhezi aur deen se dur hona hota hai . Jaise k hum aap ko aagah kar chuke hain k asrat ka masala guzashta 2 dahai mein zyada dakhne ko mil raha hai kyon k hamara muashra taraqi pazeer muashra hai jis mein jidat pasandi, taraqi aur modern society ko bhot zyada pasand kiya jata hai . Laikin isi modernism mein gum ho kar hum deen k usoolon k khilaf beshumar kam kar jate hain . Iski misaal kuch yun bhi hai k khaas ayyam k dino mein khawateen jo makhsoos cheezen istemal mein lati hain inka istemal 20 saal pahle aam nahi tha . Aaj k daur mein ye cheezen zyada istemal mein lai jati hain aur gair munasib tarz e zindagi guzarne ki waja se khawateen aise masail ka saamna karti hain . Hota kuch aise hai k khawateen apni zaati istemal shuda cheezen gair munasib tareeqa ikhtiyar karte hue korray k dhair mein phank deti hain ya jala deti hain jin mein baal, nakhun, kapre, makhsoos kapre aur ayyam k dino mein istemal hone wali cheezen hoti hain . Kyon k korray k dhair par aam tor par jinnat ka basera hota hai isliye ye jinnat ya asrat us insan tak pohanch hi jate hain jiski wo istemal shuda cheezen hoti hain .
3 Teesra aham fact ghusal k doran bad perhezi karna hota hai jo k sarasar galat hai .
4 Number 4 par sabse se bhari aur bunyadi waja parda ka na karna hota hai aur jb aisi khawateen kisi ki buri nazar ka shikar ho jati hain tab bhi in ko asrat ka masala ho sakta hai .
5 Yeh wo basic fact hain jinki waja se aksar hi khawateen aur larkiya asrat e bad ka shikar ho jati hain . Is makam par chand aik baton ka tazkara karte chalen k jo khawateen khushboo ka zayada istemal karti hain ya qabarstan ka rukh karti hain ya mehfil mein zaroorat se zayada numaish apnati hain unko shuru shuru mein yeh masala sar dard se shuru hota hai aur baad mein mamlaat taqwiyat ikhtiyar karte chale jate hain .
6 Is k elava jitney bhi mamlaat asrat k zer e asar hote hain jo hakeekat mein ilam ya sifli jadu ki waja se hote hain laikin in mein se zyada tar mamlaat insan ki apni galati ya kam ilami ki waja se hote hain .
Hum umeed karte hain k aaj ki is post mein aap ko asrat e bad aur in k rohani ilaj k bare kafi had tak rahnumai hasil hui hogi . Agar aap ye roahni ilaj khud se na kar sakte hon to aap bina jhijhak mehsoos kiye syeda se raabta kar sakte hain aur Silsila k khalifa se direct baat kar k apna masala bayan kar sakte hain aur apne masala k mutabik apna rohani ilaj karwa sakte hain .
(Syeda Qurat Ul Ain: 0309-8335438)

Your content goes here. Edit or remove this text inline or in the module Content settings. You can also style every aspect of this content in the module Design settings and even apply custom CSS to this text in the module Advanced settings.

Your content goes here. Edit or remove this text inline or in the module Content settings. You can also style every aspect of this content in the module Design settings and even apply custom CSS to this text in the module Advanced settings.

WeCreativez WhatsApp Support
Our customer support team is here to answer your questions. Ask us anything!
👋 Hi, how can I help?