Stress khatam karne ki dua Ism e Azam kuch yun hai
Ism e Azam Ya Rahmanu, Ya Raheemu, Ya Hayyu Ya Qayyum
Yeh ism e azam ka wazifa aap ne stress khatam karne ke liye khaas muraqabah ki shakal ikhtiyar kar ke hi karna hai jiski wazahat hum aap ko post ke dusre hisa mein bataye gay . Abhi hum aap ko wazifa perform karne ka mukamal tareeka batate hain .

Wazifa karne ka tareeka

Stress ko khatam krne ka wazifa aap ne mandarja zail tareeka ke mutabik hi karna hai:
1 Stress khatam karne ka wazifa aap ne 2 rakat salatul hajat nafl aur hasbe taufiq sadaqa ada kar ke hi shuru karna hai
2 Stress khatam karne ka wazifa aap ne khaas tanhai mein aur khaas waqt pe hi karna hai taakay aap ki tawaja pal bhar ke liye bhi apne maqsad se ghafil na ho sake .
3 Agar aap bilawaja zehni tention aur uljhano mein mubtila hain ya har waqt preshanio ka shikar hain to koshish karen ke is wazifa ke sath aap 2 adad naqsh hube sulemani lazmi tahreer karen . Ye naqsh mubarak har waqt ki uljhan aur asrat ki waja se hone wali preshani ka guaranteed rohani amal hai .
4 Stress dur karne ka wazifa aap ne saaf libas pahan kar aur khaas qisam ki Khushbu laga kar hi karna hai .
5 Is tarteb ko follow karte hue aap ne janamaz par alti palti ki halat mein beth jana hai aur khud ko pusukoon karne ke liye dono aankhain band kar leni hain aur ism e Allah ko tasawar karna hai .
6 Jb aap halat e sukoon me aa jain to aap ne apni shahadat wali ungli ko apne dill par rakh lena hai aur apne maqsad ko zahan mein rakhte hue uper bayan kiya gaya wazifa aap ne 10 minute tak mukamal yakeen ke sath jari rakhna hai .
7 Yeh amal aik meditation ki tarha kaam kare ga aur aap ko mukamal tor par divert kar dega .
8 Agar aap is muraqabah ya meditation ko waqt ki pabandi ke sath 21 roz tak jari rakhte hain to aap ki stress ka level kafi had tak kam bhi ho jaye ga aur aap ke control mein bhi aye ga .
Yaad rakhen ke stress ka level bhot zyada hone ki waja se aap bhot si jimani aur zehni beemariyon ka shikar ho sakte hain . Is liye in chand bunyadi muharikaat par amal karna aap ke liye behad zaroori hai .

Stress Kya Hota Hai ? Alamat

Stress ko basically kisi beemari nahi count kiya jata laikin agar stress ka level bhot zyada ho jaye to yahi stress bhot sari zehni rohani aur jismani beemariyon ka sabab ban jata hai . Stress aap ki immunity, decision making power aur confidence level ko had se zyada disturb kar sakta hai . Jiski waja se aap ki quwwat e iradi bhi kamzor ho jati hai, dill har waqt bechain rahta hai aur kuch bura ho jane ka andesha insan ko laga rahta hai . Stress aap ko musharti tor par kamzor karta hai aur relation aur social life ko bhi diturb kar deta hai . Isliye stress ka rohani elaaj awal shart ke sath karwana behad zaroori samjha jata hai .

Stress Kyu Hota Hai ?

Stress level ka disturb hona aaj kal ki nojawan nasal mein bhot hi aam sa masala banta ja raha hai . Over expectations ki waja se hamari nojawan nasal beshumar zehni, jismani aur rohani beemariyon mein mubtala nazar aati hai, jo ke us nojawan nasal ke sath sath un ke waldain ke liye nihayat hi preshani ka sabab hai . Agar yeh stress had se barhh jaye to insan bhot si zehni beemariyon mein mubtala ho kar na hi zindagi mein kuch hasil kar pata hai aur na hi koi kamyabi usko mil pati hai . Isliye in sab wajoohat ko saamne rakhte hue hi is article ko publish kiya gaya hai taakay aap is wazifa ko kar ke aapni barhti hoi stress par control paa saken aur apne aap ko improve kar ke kamyabi hasil kar saken .
Hum umeed karte hain ke aaj ka wazifa aap ke liye bhot faida mand sabit hoga .
Agar wazifa se related koi bhi sawal ho to aap neeche diye gaye syeda ke number par whats app message kar ke rahnumai hasil kar sakte hain . Neez agar aap ko naqsh hube sulemani tahreer na karna ata ho to aap syeda se rabta kar ke silsila se naqsh hube sulemani bassani hasil kar sakte hain .
Agar aap ki stress ka level bhot zyada ho chuka hai to aap syeda se apni details share kar ke apne masala se related proper istikhara karwa ke mazeed information aur us masala ka hal bhi karwa sakte hain .
Apna zaicha banwane ya istikhara ke liye aap is number par raabta kar sakte hain . (Syeda Qurat Ul Ain: 0309-8335438)

WeCreativez WhatsApp Support
Our customer support team is here to answer your questions. Ask us anything!
👋 Hi, how can I help?